Knowledge of Islam questions answers
1) Hum kaun hai ?
A) Hum musalmaan hai
2) Hamara rab kaun hai?
A) Hamara rab Allaah hai
3) Allaah kitnay hai?
A) Allaah ek hai
4) ibadat kis ki karni chahiye?
A) ibadat sirf Allaah ki karni chahiye
5) Hum ko khilanay - pilanay wala kaun hai?
A) Humko kilanay pilanay wala Allaah hai
6) Hum ko har waqt kaun dekh raha hai?
A) humko har waqt Allaah dekh raha hai
7) Poori kainaat Allaah nay kaisay paida ki? (Kainaat = universe)
A) Apni khudrat aur hukum say
8) Aap ko, chand, suraj, zameen aur aasmaan sub chizo ko kis nay paida kiya?
A) Allaah nay
9) Rozi kaun dayta hai aur dua kaun sunta hai? (Rozi = food)
A) Allaah
10) Zindagi aur maut kaun dayta hai?
A) Allaah11) Tum apna sar kis kay saamnay jhukatay ho?
A) Allaah kay saamnay
12) Hamaray deen ka kya naam hai? (Deen = religion)
A) hamaray deen ka naam Islaam hai
13) Deen kisay kehtay hai?
A) Allaah kay hukum aur huzoor SAWS kay tareeqo par zindagi guzaarnay ko deenkehtay hai
14) ibadat kisay kehtay hai?
A) Allaah nay jin kaamo ko karnay ka hukum diya un ko karna aur jin kaamo sayrooka unsaybachna ibadat hai
15) Hum ko islaam kya sikhata hai ?
A) hum ko islaam yeh sikhata hai kay – Allah ek hai, wohi bandagi kay layaq haiaur- hazrat Muhammad SAWS Allah Ta’ala kay banday aur uskay rasoolhai,- Quraan e shareef Allah Ta’ala ki kitaab hai,- Islaam sachcha deen hai,- duniya aur akhirat ki tamaam bhalaeyaan aur neik baatein islaamsikhata hai
16) Neik kaam kisko kehtay hai?
A) Allaah jin kaamo ko karnay ka hukum diya hai – unko neik kaam kaha jata hai
17) Gunaah kis ko kehtay hai?
A) Allaah ki na farmani ko gunaah kaha jata hai
18) islaam kay kitnay faraiz hai?
A) islaam kay paanch (5) faraiz hai
1)
tauheed aur risalat ki gawahi (kalima)
2)
paanch waqt ki namazein (namaaz)3) Ramazan Mubarak kay rozay (roza)
4)
maal ki saalana zakaat (zakaat)
5)
baitullaah ka hajj (hajj)
19) Tauheed ki gawahi ka kya matlab hai?
A) Allaah ko ek maanna(Tauheed – Allaah ki zaat aur sifaat mein ghairul laah ko shareek na karna)
20) Risalat ki gawahi ka kya matlab hai?
A) Huzoor SAWS ko Allaah ka rasool manna(SAWS = Sal lal laahu alaihi wa sallam / PBUH = peace be upon him)
21) Aqaied kisay kehtay hai?
A) aadmi jin baaton par dil say yaqeen rakhta ho unko aqaied kehtay hai
22) Emaan e mufassal kya hai?
A) emaan e mufassal dil aur zubaan say nichay kay baaton ka iqraar karna hai –
1. Allaah ek hai aur uskay siva koi mabood nahi
2. faristay bar haq hai – Allaah ki kisi qism ki nafarmani nahi kartay
3. Allaah nay jitni kitaabein nazil ki hai sub bar haq hai
4. ambiya (A.S.) sachchay aur bar haq hai
5. qiyamat zaroor qayam hogi
6. insaan ko acchi – buri jo halat bhi pesh aati hai sub Allaah ki taraf sayhai
7.mout kay baad dubara zinda hona hai (us mein duniyawi zindagi kahisaab hoga – uskay baad jannat ya jahannum ka faisla hoga)(**note** : upar ki 7 chizon par har musalmaan ko emaan laana zaroorihai aur emaan emujmal par bhi)
24) Shirk kisay kehtay hai? Aur us ki saza kya hai? shirk karnay walay ko kya kehtayhai?
A) Allaah ki zaat aur sifaat mein ghairul laah ko shareek karna shirk hai.
Quraan mein Allaah nay farmaya – “jo shaks Allaah kay saath kisi ko shareek karayga, to us parAllaah jannat ko haraam kardayga aur uska thikana jahannum hoga aur aisayzalimon ka koimadadgaar na hogaâ€â€¦â€¦â€¦â€¦â€¦..shirk karnay walay ko ‘mushrik’ kehtay hai
(**note** : Allaah kay yahaan har gunaah ki muaafi hai magar shirk ki nahi)
25) Namaaz kisay kehtay hai?
A) Namaaz ek khaas tariqay say Allaah ki ibadat aur bandagi ko kehtay hai
26) Namaazien din-raat mein kitni farz hai?
A) Namaazein din-raat mein paanch (5) farz hai
27) Unkay naam batao?
A) 1)fajr 2) zohar 3) asar 4) maghrib 5) ish’aan








